Saturday, May 2, 2009

Ghazal in Roman word


dil k phool bhi khiltay haiN bikhar jatay haiN,
zahkm kaisay bhi hoN kuch roz maiN bhar jatay haiN,
us dareechay maiN bhi ab koi nahiN,
aur hum bhi
sar jhukaye huwe chup chaap guzar jatay haiN,
raasta rokay khari hai yehi uljhan kab say,
koi poochay to kahaiN kia haiN, kidhar jatay haiN,
narm aawaz, bhali bataiN, muhazzab lehjay,
pehli barish maiN hi yeh rang utar jatay haiN

No comments:

Post a Comment